Sunday, February 11, 2007

 
Myspace Text Generator, Myspace GraphicsGlitter GraphicsMyspace LayoutsMyspace Codes, Myspace GraphicsMyspace CodesMyspace Codes, Myspace GraphicsMyspace LayoutsMyspace LayoutsMyspace LayoutsMyspace CodesMyspace BackgroundsGlitter Graphics

Thursday, January 18, 2007

 

Dastan-e-Haeekat......

hello frnds .... pesh-e-khidmat hai.. kuchh naye alfaaz....    

Tum pucho aur hum na bata ye aise to halat nahi,
Bas jara sa dil tuta hai aur koi khaas bat nahi.

                           

Tamam umar zindagi se dur rahe,             Unhe samne dekh kar aisa laga,
teri khushi ke liye tujhse door rahe...      wo humse kuch chhupa rahe hai..
ab is se badkar wafa-a-saza kya hogi,       kal tak jo hamari ek nazar ke pyase they,
ki tere hokar bhi tujhse dur rahe.            aaj wahi sindoor bhare samne se chale aa
                                                            rahe hai.

Jab itnee bewafi per dil iss ko pyyar karta hain,
Elaahi agar wo sitam gar ba-wafa hota to kya hota.

Lagta He unhone Mohabbat ki Dukan Khol Di,
Eak Dil me Na jane kitno ko panah de di...
shayad hum hi kabil nahi the unki chahat ke,
is liye unhone hamari jagah kisi aur ko de di.

Rakhte hain jo dil main dusro ke liye pyar ka jazba,
wo log kabhee bikhra nahee karte...
Jinke dil mein ho kisi ki mohabbat ka basera,
wo log kabhee kisi se shikva nahee karte.

Waqt To Hume Bhula Chuka Hai,        Wo na aaye unki yaad aaker wafa kar gayi,
kahin Mukaddar Bhi Na Bhula De...     Unse milne ki tamanna sukun tabah kar gayi,
Mahobbat Hum Isliye Nahin Karte,      Aahat huyi to socha asar dua kar gayi,
kyon Ki Darte Hain Koi Fhir Se Na       Darwaza khol kar dekha, mazaak hawa humse
Rula De                                            ker gayi..
 
Tum ne to keh dia ki Mohabat nahi mili, Mujko to ye bhi keha ki Mohlat nahi mili,
Neendon ke des jate koi khwab dekhte, Lekin dia jalany se fursat nahi mili,
tujhko to khair shahar ke logon ka khuof tha, Or mujko apny ghar se ijazat nahi mili,
Phir ikhtilaf-e-ray ki soorat nikal padi, Apni yahan kisi se bhi adat nahi mili,
Bezar yu huye ki teri yaad main hamen, Sab kuch mila per sukoon ki daulat nahi mili .
 
.......................................... FilhaaL KE LiYe BAs ItnA HI...


 

Thursday, July 27, 2006

 

introduction

 Hello friends !!
My name is Rajiv Kumar . I’m frm Kanpur, India.
Basically I’m a jurist, a lawyer, n here I share my different views with all of you.
In my views I introduce some social facts in light of law, n some fun with shaiyari , poetry,
love romance etc. etc…………

Specially this blog is made by the Indian, for the Indians,

Okei friends sabse pahle main shuruaat karta hoon ek poetry se...... read n enjoy it…..


Koi Deewana Kahta Hai……

Koi Deewana Kahata Hai Koi Pagal Samajhata Hai
Magar Dharati Kee Bechainy Ko Bas Badal Samajhata Hai
Tu Mujhase Dur Kaisee Hai Main Tujhase Dur Kaisa Hoon
Ye Tera Dil Samajhata Hai Ya Mera Dil Samajhata Hai.

Mohobbat Ek Ehsaso Ki Paavan Si Kahani Hai
Kabhi kabira deewana Thaa Kabhi Meera Deewani Hai
Yahaan Sab Long Kahate Hai Meri Aankho Mein Aansoo Hai
Jo Tu Samajhe Toh Moti Hai Jo Na Samajhe Toh Paani Hai.

Samander Peer Ka Ander Hai Lekin Ro Nahi Sakata
Ye Aansoo Pyar Ka Moti Hai Isako Kho Nahi Sakata
Meri Chahat Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le
Jo Mera Ho Nahi Paya Woh Tera Ho Nahi Sakata

Bhramar Koi Kumudani Per Machal Baitha Toh Hungama
Hamaare Dil Mein Koi Khwaab Pal Baitha Toh Hungama
Abhee Tak Doob Ker Sunate The Sab Kissaa Mohobbat Ka
Main kissase ko haqeekat mein badal baithaa to hungama.

so friends kaisi lagi r u enjoying this……



This page is powered by Blogger. Isn't yours?